Aaj ka buddhijivi Manav, Jo Ek Hi Chhad Mein samast Sansar ko San Har karne ki Shakti Rakhta hai, Jo gaganchumbi Parvat Shikhar Apna Charan chinho se Ankit kar sakta hai, jiske charan chinh anya graho par bhi pad chuke hai tatha jisne jal, thal aur nabh par apna aadhipatya kar liya hai, usi manav ko kabhi kabhi kisi agyaat shakti ke aage natmastak hona padta hai. Aisi sthiti me vah nirupaay hokar us adrishya shakti se sahayata ki yaachna karta hai.usi adrishya shakti ko vibhinn namo se pukara gaya hai. Sansar me sabhi dharm, sabhi sanskritiya tatha sabhi dhaarmik granth us aseem, adrishya tatha sarvshaktimaan shakti ke astitva ko svikaar karte hain. Us shakti ko hindu ishvar kahkar musalman khuda kahkar tatha isai god kahkar pukarte hai. Naam chhahe alag alag hai,parantu vah satta ek hi hai jisne sansar ki rachna ki, itne sundar sundar pushp banaye, itne rasile falon ki rachna ki tatha samast prakriti ko ek niyamit gatishilta me baandha.
Kuchh Logon ki dharna hai ki yadi Ishwar hai, to Fir vah Dikhai Kyon Nahin deta. Ham uska sakshatkar Kyon Nahin kar sakte? is prashn ka Uttar rishiyon Maneeshiyo,tattvetttaon aur darshnikon ne apne apne dhang se Diya Hai. Vaise bhi Ishwar kya sthiti ko pramanit karna atyant Gambhir evang kathin hai. Ishwar ke Astitva ko Pramanit karne ke liye Kaha gaya hai hi jyon til maahin tel hai,jyo chakmak me aag. Vah ishvar usi prakar sansaar me vyaapt hai Jaise tilon Mein Tel aur chakmak Pathar Mein Aag chhipi rahti hai hi. Vah to Pushp Ki Saugand se bhi Suchhma hai. Usse Man Ki Aankhon Se Dekha Ja sakta hai, Yog Sadhna tatha bhakti ke dwara hi uska sakshatkar Kiya Ja sakta hai. Jara sochiye yadi Ishwar Na Hota, Tu is Jagat ko Kaun niyantrit karta. Prakriti ki Anek gutthiyaan, anek rahasya aaj bhi manushya ki samajh se parey hain. BuddhiVadi manushya Aaj Tak yah nahin jaan Paya ki mrityu ke bad Kya Hota Hai. Jaise dudh Mein ghi Hota Hai,Par vah Dikhai Nahin deta. Use prapt karne ke liye Prayas karna padta hai. Theek vaise hi Ishwar ko dekhne ke liye Sushhma Sadhna karni padati hai. Aaj ke manushya ke pass Itna Samay nahin hai ki vah Ishwar ko pane ke liye Sadhna kar sake. Vah to atyant saralta Se Uske Darshan karna chahta hai,jo Sambhav Nahin. Jab Ishwar ke darshan Nahin Hote,To vah uski Satta per hi per avishwas karne lagta hai. Sansar ka koi bhi Dharm Aisa Nahin Hai, Jo is baat ka samarthan Karta Ho Ki Ishwar Ka astitva Nahin Hain.
Comments
Post a Comment